kabhi nazrain milanay main zamanay beet jatay hain
kabhi nazrain churaanay main zamanay beet jatay hain
kisi nay aankh bhi kholi to mili sonay ki nagri
kisi ko ghar bananay main zamanay beet jatay hain
kabhi khola ghar ka darwaza to samnay thi manzil
kabhi manzil k aanay main zamanay beet jatay hain
Copy The Text
No comments:
Post a Comment