Thursday, 5 September 2013

Love Shayeri Part 9

kab kon kisi ka hota hay sab jhutay rishtay naatay hain
ikhlaq say aari log yahan sab asli roop chupatay hain
ik bar sama kar ankhoon main
sari umer rulatay hain
----------
Mom ki tarha pighaltey huey dekha usko,
Rut jo badli tau badaltey huey dekha usko,
Wo jo kantoon ko bhi narmi se chua karta tha,
hum ne phuloan ko masaltey huey dekha usko,
janey kis gham ko chupaney ki tamana hey usey,
Aj her bat pe hanstey huey dekha usko,
janey wo mangney jata hey dua bhi kasee,
Hath uthatey he sisaktey huey dekha usko

----------
log zalim hain nasheman jala date hain
dhika k sagar ki jhalik zehar pila dete hain
kis tarha tum se karen khatam dosti
tum se mite hi zamane ko bhula dete hain
----------
aye shama q jalati hai parwanon ko
k wasal e sanam koi gunah to nai
----------
raat barri mushkal say sulaya khud ko

apni ankhon ko tere khwab ka lalich day kr
----------
Tera dard tha, teri yad thi, Main jahan raha, Main jidhar gya, Mera din too yunhi guzar gya, Hui shaam too main bikhar gya, Is abr ka mere yaar se...... Bara milta julta mizaj hai, Kabi toot kr baras gya, kabi berukhi se guzar gya, Jab main chhor jaunga wo gali, Use yaad aye gi tub meri, Khoje ga jab wo idhar udhar, To khabar mile gi main mar gia.....!
----------
Aarzo-e-safar ka jab hum nay irada kia tha,
saath chalnay ka usnay b wada kia tha,

kuch us ko ras na aaei wafa ki sadaqtain,
kuch aitbar bhi hum nay ziada kia tha,
----------
kab kon kisi ka hota hay sab jhutay rishtay naatay hain;
ikhlaq say aari log yahan sab asli roop chupatay hain;
ik bar sama kar ankhoon main'
sari umer rulatay hain
----------
unki chahet mai hum zamana bhol gaye
unke baad kissi ko apnana bhool gaye
unse mohabat hai bataya sare zamanay ko
bas yehi 1 baat unhe batana bhool gaye.
----------
is tarah sataya hai pareshaan kiya hai
goya k muhabbat nahi ehasaan kiya hai
socha tha k tum dosaron jaise nahi hoge
tum ne bhi wahi kam meri jan kiya hai
mushkil tha bohut mere liye tark-e-taalluq
ye kam bhi tum ne mera asaan kiya hai
----------
ishq ko be-naqaab hona tha
ap apna javab hona tha
teri ankhon ka kuch qasor nahin
haaN mujhi ko Kharab hona tha
dil k jis par hain naqsh-e-rangaa-rang
us ko saadaa kitaab hona tha
ham ne naakaamiyon ko Dhond liya
aaKhir kamayab hona tha
----------
Tuje daikha na tha to koi chahat na thi.
Daikha tuje to tere tlabgaar ho gay.
----------
KABHI JO HUM NAHI HON GAY...
kaho kis ko batao gay..
wo apni uljhanain sari
wo bechaini mein dobay pal..
wo ankhon may chupay ansoo
kisay phir tum dikhao gay..
kabhi jo hum nahi hon gay..
bohat bechain ho gay tum..
bohat tanha rah jao gay..
abhi bhi tum nahi samjhay..
hamari unkahi batain..
magar jab yaad aain gay
bohat tum ko rulaain gya..
bohat chaho gay pir bhi tum
hamain na dhond pao gay..
KABHI JO HUM NAHI HON GAY.......
----------
Nazar mila kar hamse nazar chura na lena,
Humsafar bana kar hum ko ganwa na dena,
maana k hum door hain tumse,
doori ka bahana bana kar hum ko bhula na dena.
----------
pyar karo to dhoka mat dena...
ansoon ka kisi ko tohfa mat dena...
roay koi tumhay yad ker kay...
tum kisi ko yeh mauqa mat dena..
----------
roothh jate ho to or b haseen lagte ho,shayed isi bat se tumhen khafa rakha he
----------
un ki yad main hum nay ro ro kar gaday bhar diay..
wo aiy aor naha kar chalay gay.
----------
PALAT KAR DEKH AE ZALIM TAMANA HUM BI RAKHTAY HAIN....
AGAR TU HUSAN WALI HAI TO JAWANI HAM BHI RAKHTAY HAIN.....
----------
Lafzoon Ki Justajoo May Sab Kuch Ganwa Diya

Wo Chal Diya Ma Tarzey Adaa Dhondta Raha

Usko Kisi Nay Rab Say Liya Mang

Aur Ma Sajday May Gir K Harf-e-Dua Dhondta Raha
----------
waqif hoon teri us ada se tujhe itna jis pe gharoor hai
main jiyunga tere baghair bhi mujhe zindagi ka shaur hai
----------
bohat sadah hai toh aur zamana aeyar hay
khuda kare tujhe shaher ki haawa na lage
----------
keh raha hay shor-e-darya say samander ka sukoot.......
Jitna jis ka zarf hay itna hi woh khamosh hay.
----------
KABHI YAAD AYE TO PUCHNA ZARA APNI KHALWAT E SHAAM SE
KISAY ISHQ THA TERI ZAAT SE KISY PYAR THA TERAY NAAM SE
ZARA YAAD KARO K WOH KAUN THA JO KABHI TUJHAY BHI AZIZ THA
WOH JO JEE UTHA TERAY NAAM SE WOH JO MAR MITA TERAY NAAM PE
HUMAIN BERUKHI KA HAI NAHI GILA K HAI YAHI WAFAON KA SILA
MAGAR AISA JURM THA KAUN SA K HUM GAYE DUA O SALAM SE
NA KBHI VISAAL KI CHA KI NA KBHI FIRAQ MAIN AAH KI
K MERA TAREEQA E BANDAGI HAI JUDA TAREEQA E AAM SE
----------
ussay apni zaat ki fikar thi wo jo mera wakif e haal tha
woh jo us ki subhe urooj thi woh mera waqt e zawal tha
mera dard woh kaisay janta meri baat woh kaisay manta
woh to khud fanna k safar main tha usay rokna bhi mohal tha
kahan jao gay mjhay chor kar main yeh poch poch k thak gaya
woh jawab mujh ko na de saka woh to khud sarapa sawal tha
woh mila to saddiyon baad bhi mera lab per koi gila na tha
ussay meri chup ne rula dia jisay guftugu main kamal tha
----------
Kabhi shikaston ka dukh uthaye to us say pochon,
Woh meri manind toot jaye to us say pochon,
Usey bhi koi sitara manzil say door kar day,
Usey bhi koi rasta nazer na aey to us say pochon,
Safer main woh bhi kisi karey imtihan say guzrey,
Usay bhi koi yun azmaye to us say pochon,
Meri tarhan din charhey woh bhi soye salik,
Usey bhi raat bher neend na aye to us say pochon.
----------
kia faisla ab kejiay baray meen qateel us k,
wo ghair nahi likan apna bhi nahi lagta
----------
Tabeer jo mil jati to aik khowab bohut tha,
Jo shakhs bichar gaya wo nayab bohut tha,
Main kaisay bacha leta Kashti-e-Dil ko,
Darya-e-muhabbat main selab bohut tha...
----------
Hum ne mana k tghaful na karo gay lekin,
khaak ho jayen gay hum tum ko khabar honay tak...
----------
kar kar k teri mintain aadat bighar di,
danista hum ne tum ko sitam gar bana dia.....
----------
Bohat he mudat ka baad kal jab.......
Kitab-e-maazi ko mene khola.....
Bohat se chehre nazar me utrey.......
Bohat se naamon pe dil paseeja......
Ik aisa saffha bhi us mein aya......
Likha huwa tha jo ansuon say......
K jis ka unwan "Humsafar" tha.....
Yeh safha sab se hi moatbar tha........
Kuch or ansu phir us pe tapke......
Phir us se agay ma parh na paya......
Kitab-e-maazi ko band kar k......
Usi ki yadon may kho gaya may......
Ager woh milta to kaisa hota......
Inhi khayalon me so gaya ma.......
----------
Had-e-Idraak sey agay thi teray qurb ki sham.......
Dhondnay tujh ko kahan chand sitary jatey.......
Tuj sey mansoob huay too ye hasrat hi rahi....
Hum kabhi anpany hwalay sey bhi janay jatay..........!
----------
tere jany ka asar hoa mujh pay kuch is tarhan,
k tujhay dhontay dhontay mein khud ko paa gai,
----------
Tere shehar main sham hoti ja rahi hai.
zindigi ilzam hoti ja rahi hai.

wo to ab bhi azad hai mohabat se laiken.
meri har sans us ki ghulam hoti ja rahi.
----------
Nazaqat nazneenon k bananey say nahi banti,
Khuda jub husun daita hai to nazaqaut aa hi jati hai.
----------
Kismat rooth gayi dil k tar toot gaye
aap jo rooth gaye sapne bhi toot gaye
baki rahe khazane mein do aansoo
yaad aap ki aayi to wo bhi lut gaye
----------
Chale gaye ho dur kuch pal ke liye,
Dur reh kar bhi kareeb ho har pal k liye,
Kaise yaad na aaye aap ki ek pal k liye,
Jab dil me ho aap harpal k liye
----------
ROSHNI kab kam hui pata na chala,

KHUSHI kab ghum hui pata na chala.

Tumhari YAAD me khoye kuch is tarah,

AANKH kab nam hui pata na chala.
----------
Kisi k Haq mein hi sahi wo DUA to keray
Wo keh nahi sakta meri Suna to Keray
Mein Lott jaon ga apni Udas Duniya mein
Wo shaks mujhse Bicherny ka faisla to karay
----------
tere dukh ham daikh nahi saktaiy,
Bhari mehfil main kuchh keh nahi saktaiy,
Mere girtaiy hoowaiy aansuoon ko daikho,
Woh bhi kehtaiy hain, ham tujh bin reh nahi saktaiy...
----------
Dil Ka Dard Hamay Bataty Q Nahi
Muhabat Ka Haq Hum Pe Jatatey Q Nahi
Mar Jao Gay Aisay Hi Ro Ro kar
Pyar Hai tu Zuban Pe latey Q Nahi
----------
mat karo itna yaqeen apne hathoon ki lakiroo pe,
qismat un ki bhi hoti hai jin ke haath nahi hotein
----------
Khamoshi Say Bikharna Aa Gia Hay,
hamin Ab Khud Ujarna Aa Gia Hay,
kisi Ko Baywafa Kehtay Nahi Hum,
hamin Bhi Ab Badalna Aa Gia Hay,
----------
ishaarey se kaha hum dil ka esa haal kertay hein
uthha k phool ki patti nazakat se masal daali
----------
Aasaniyon say pooch na manzil ka rasta.....
Apney safar mein rah kay pather talash ker.....
Zarey say kainaat ki tafseer pooch lay.....
Katrey ki wusatoon mein samender talash ker.
----------
Hum na hotay to ghazal kon kehta
ap k chehray ko kanwal kon kehta
ye karishma hay pyar ka warna
pathar ki diwaron ko taj mehal kon kehta
----------
Hasti ko Muhabbat mai fana koun kare ga,
Yeh farz siwa meray ada koun kare ga.
Hato ke lakeroon ko zara dhekh Najomi,
Yeh dhaik meray sath wafa koun kare ga.
----------
Tum KO Sochein Tu Dil Dharakta Hey Kuch Aisey
Band Muthi Mein Hu Koi Parinda Jaisey
Umar Guzri Hey Kissi Chahat Mein Yun
Barish Ko Tarasta Hu Koi Sehra Jaisey
----------
Zakhum Itney Gehrey Hein K Izhar Kiya Karein
Hum Khud Nishana Ban Gaye Vaar Kiya Karein
Mar Gaye Hum Magar Khuli Rahi Aankhein
Ab Is Sey Ziada Un Ka Intezar Kiya Karein
----------
PAL PAL TARSE THE EK PAL KE LEYE
PAL AYA BHI TO KUCH PAL KE LEYE
SOCHA THA USEY ZINDAGI KA EK HASEEN PAL BANA LENGE
PAR WOH PAL RUKA BE TO BAS EK PAL KE LEYE
----------
nendeen meri aankho se churata ha wohi shakhs,
so jao to khowaboon me bhi aata ha wohi shakhs,
apny liye to me ne tarasha tha naya aks,
aeiny me lekin nazar aata ha wohi shakhs.
----------
ho k mayoos na kiyari se ukharo poday,
dhope ai ha to sawan bhi yahan barsay ga.
----------
thak gaye hum on kaa intezar kartey kartey,
roye baar baar khud sey takrar kartey kartey,
do lafz bhi un kii zaban sey na nikley,
toot gaye hum aik tarfa pyar kartey kartey,
----------
KAL RAAT MAIN JEE BHAR K ROYA TO CHAIN SE SOYA

K DIL KA DARD CHASHM E TAR SE BEH NIKLA.
----------
Itnay mukhlis b na ban jao ka pachtna paray
.
.
Log ikhlas ko thukra be diya karta han.
----------
WO MUJHE CHORE GAYA MERE ZAWAL SE PEHLE HI

HASEEN TO THA HI ZAHEEN KITNA THA!
----------
ronay se kia hasil ae dil-e-sodai

aankhon ki bhi ruswai,daman ki bhi ruswai

hum log samundar k bichray hoay sahil hain

is paar bhi tanhai, us paar bhi tanhai
----------
Pal bhar mein toot jaye woh Kasam nahi,
Apko bhool jaye woh Hum nahi,
Tum hume bhool jao is baat me dum nahi,
kyon K Tum hume bhool jao itne bhi bure hum nahi…
----------
Mere dil ki ye Dua hai k khuda kare,
Aapki zindagi Gulab ho jaye.
Aapki zaat ka mehwar Mahtab ho jaye.
Jin per barasti hain khuda ki Khaas Rehmten, un hastiyon main aapka bhi intakhab ho jaye.
----------
Esa nahi k tujh se muhabat nahi humye
Ghum roz roz sehnye ki adat nahi humain
Tu aitabar kar tujhy chahtye hai hum
Tere siwa kisi ki bhi chaht nahi humye
Hum janty hai tu bhi tanha humarye bin
Auro say puchnye ki zarorat nahi humain
Kesye rahy gye bin tere baghair ab baat maan lye
Tere baghair jeenye ki adat nahi humain
Agar tu udas hai to hum bhi udas hai
Yeh mat samjh k tujh se ulfat nahi humain.
----------
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
----------
"MUJHE KAHIN AUR LE CHALO",,,
jahan raat kabhi soyi na ho,,
jahan subah kisi p royi na ho,,
jahan hijir ne wehshat boyi na ho,,
jahan koi cheez kisi ki khoyi na ho,,
jahan log ho sare begane,,
jahan sab k sab hon deewane,,
jahan koi jhoot ho na afsane,,
jahan koi HUM ko na pehchane,,
"MUJHE KAHIN AUR LE CHALO",,
jahan nafrat dil m bas na sake,,
jahan koi kisi ko das na sake,,
jahan koi kisi p hans na sake,,
"MUJHE KAHIN AUR LE CHALO"..
----------
wafa karo gay wafa karein gay
jafa karo gay jafa karein gay

hum aadmi hain tere jesay
jo tum karo gay wo hum karein gay
----------
Hamein tou apno ne lota gheron mein kahan dam tha,

meri kashti wahan doobi jahan paani kam tha
----------
Manzilein bhi us ki thi,
Rasta bhi us ka tha,
Ek main akela tha,
Kafila bhi us ka tha,
Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi,
Phir rasta badalne ka, faisla bhi us ka tha,
Aaj kyun akela hoon,
Dil sawal karta hai,
Log to us k the,
Kia khuda bhi us ka tha,
----------
“Teray Aane Se kya paya tha Teray Jane k baad Jana hai……..
Kis kadar Toot kar Chaha tha tujhay Aaj Dil ne Toot k Jana hai”

.............................................................

Aa Mujhe tabha kar ja,Phr se Mujhe rula ja,
Aye Meray sitam gar tu kahin se to Aaja....

.............................................................

“Tere bakhshe hue gham ka karishma hai k ab....
Mujhe har gham apne mayar se kam lagta hai"

............................................................

“Ankhon me Aehtiat ki Shamen Jala k Mil
Hathon me Dosti ki Lakeeren Saja K Mil
Dil me Kadoraten to hoti rahen Magar
Bazaar me Mila hai Zara Muskura k Mil”

.............................................................
----------
Ek Tere Na Hone Se

ek tere na hone se kuch badal nahin jata
phoolon ki khushboo salamat hoti hai
parindey b chehekte rehte hen
badal b barastey rehte hen
per ek tere naa hone se koi ha
jo
hansna bhool jata hai
jeena bhool jata hai
ek tere na hone se
----------
Mohabbat kuch nahi dati

Tham Kar Kalam Aj Ta Diar Hum
Sochty Rehy..
Kia Likhain
Kayee Bar Tara Naam Likha
Aur Mita Dala
Phir Ek Nazam Likhee
Jiss Main Tara Milna ..
Taray Sang wo bity Pal Likhy
Akhar Main Tara Bichernay Wala Pal Likha
Aur Phir Ess Nazam Ko
Ek Naam Dia..
Mohabbat Kuch Nahin Dati
Ansoo Kay Siwa

Han ....
Mohbaat Kuch Nahin Dati
Ansoo Kay Siwa
----------
Loog jeetay hain hazaaron tamannaen lay kar.....
Koi tamanna jeena sikha deti ha......
Hum kis tamanna k saharay jiyen....
Yeh zindagi roz ek tamanna barha deti hai...
----------
Na meri koi manzil na koi kinara....
Tanhai meri mehfil or yaadein mera sahara.....
Us se bichar k kuch yun waqat guzra....
Kabhi zinadgi ko tarse kabhi mout ko pukara.....!
----------
Mithaas lehje may narmi zuban may rakhna....
Kabhi dil na dukhe kisi ka ya dehaan may rakhna.....
Wo ada jo dushmano ko dosti sekha de....
Ek aisa teer apni kamaan may rakhna...
----------
Wafa Ki Dastaan-E-Gham Chalo Tum KO Sunatey Hen
Jo Dil Per Daagh Hen Apney Chalo Tum Ko Dikhatey Hen,

Sunoo Neendein Nahi Aatin K Dil BeTaab Rehta He
Kabhi Titlii K Kachey Rang Kabhi Jugnoo Satatey Hen,

Kabhi Jab Shaam Hoti He, Andheron Se Khafa Ho Kay
Teri Yadoon K Mandir Mein Charaagh-E-Shab Jalaatey hen.
----------
KABHI KI HOGI SURAJ NAY CHAND SAY MOHABBAT
TABHI TO CHAND MAIN DAGH HAI

MUMKIN HAI K CHAND SAY HUI HOGI BEWAFAIE
TABHI TO SURAJ MAIN AAG HAI
----------
Mai Is Sey Barh K Zabt Ki Misal Kya Deta
Woh Mujhse Lipat K Roya Kisi Aur K Liye
----------
Ho rahi hay bari taizi say fiza aluda.....
Apni dharti ko tabahi say bacha loon to challon.....
Aey wali kum nahi duniya main rulaney waley.....
Main zira dair zamaney ko hansa loon to challon.
----------
Lafzoon Ki Justajoo May Sab Kuch Ganwa Diya

Wo Chal Diya Ma Tarzey Adaa Dhondta Raha

Usko Kisi Nay Rab Say Liya Mang

Aur Ma Sajday May Gir K Harf-e-Dua Dhondta Raha
----------
Wo khatam qaid ki mayad bhi nahi karta
magar main zehmat-e-faryad bhi nahi karta
kabhi kabhi wo mujhe itna yad aata hai faraz
main zid main aa k usay yad bhi nahi kerta
----------

----------
tapash sooraj ki hoti hai jlna zameen ko prta hai.
Qasoor aankhoo ka hota hai trapna dilko prta hai.
----------
Zindagi sab ko milay zaroori to nahi,
mohabat sabko milay zaroori to nahi,
Kuch log bahut yaad aate hain,
woh bhi humein yaad kare zarori to nahi.
----------
Apno k situm hamse batlaye nahi jate
Ye hadse woh hai jo samjhaye nahi jate
Ek umer ki kosish se bhula di hai teri yaad
Lekin teri yaad k saye nahi jate


----------
Eik Eik Pather Jor Kar Main Nai Jo Dewar Banaie Hai.
Jankhon Ous k Pechie Tou Ruswaie Hie Ruswaie Hai.
Youn Lagta Hai Sote Jagte Auron Ka Mutaaj Hon.
Aakehn Meri Apnie Haien Per In main Neend parie Hai.
Dekh Rahe Haien Herat Say Sub Nele Nele Pani Ko.
Pochie Kon Samandar Say K Tuj main Kitnie Gehraie Hai.
Aaj Hoa Maloom Mujehe is Sher K chand Sauoun say.
Apni Raha Badalte Rehna Sab say Bari Danie Hai.
Tor Gaeie Pehmanie WAFA is dor dor main kesie kesie LOG.
Yee mat Soch K REHAN bus Eik Yaar hie Tera Harjaie Hai.
----------




No comments:

Post a Comment