Thursday, 5 September 2013

Love Shayeri Part 4

NA-EY RISHTEY NAYA SAFAR MUBARAK HO
KHUSHIO BHARE RAH GUZAR MUBARAK HO
LG JAE NA TUMHE NAZAR AJ KISEE KE
UTHE JO TM PE NAZAR MUBARAK HO
----------
Hum uth chaley tere mehfil se
pechay se tonay pukara bhi nahi
phir khud hi ruk gaye mere qadam
kyon k tere bin mera guzara nahi

----------
Kia Naza Ki Taklefon mein Maza
Jab Mout Na Aay Jawani Mein
Kia Lutf Janaza Uthney Ka
Her Kaam Pe Jab Matam Ne Hoo
----------
Hum Hr Roz uddas hote hain
Aur Sham Guzer Jati Hai
Kisi Roz Aisa hoga
Shaam Uddas Ho Gi
Aur Hum Guzer jain gay
----------
AJAB LUTAF AA RAHA THA DEEDAR KI DIL LAGI KA FARAZ
K NAZRAIN BHI MUJH PER THEEN AUR PARDA BHI MUJH SE THA
----------
kisi se itna door zroor jao k usey tumhari kami ka ehsas ho sakey
na k itna door chaley jao k wo tumhare bina jeena sikh le...
----------
Ab millain ge to khoob rulainge usy FARAZ
Suna hai usy roty huy lipt jaane ki aadat hai
----------
Hum ne chaha tha usse ji jaan se barh ke
Woh hum ko chor gayi bewafa jaan ke
----------
zawaly shab main sitaron ny sath chor dia
saba chali to cheraghon ny sath chor dia
mila jo moka muje un se bat karny ka
mere naseeb k lafzon ny sath chor dia
wo roo ba roo tha magr us ko daikhta kasy
wo rango noor tha ankhon ny sath chor dia
----------
Woh yE samjhta hai k main hr chehrE ka talabgar hon
Main dekhta to sabhi ko hon bs uski talaash mein
----------
Sukoon Milta Hy Jab Un Sy Baat Hoti Hy
Hazaar Raato'n Me Wo Ek Raat Hoti Hy
Nigah Utha K Wo
Dekhe'n Kbhi Jo Meri Taraf
Wo Hi 1 Nigah Meri Kainaat Hoti Hy
----------
Ye Rung-e-Gul Bhi Hy Aur Khaar Bhi Hy
Zubaan Chalti Hui
Talwaar Bhi Hy
Ajab Hy Bolti Aankho'n
Ki Masti
Jahan Inkaar Bhi Hy Iqraar Bhi Hy
Ye Raah-e-Ishq Hy Dekho Sambhal Kr
Bohat Aasan Bhi Hy Dushwar Bhi Hy
Ajab 2 Rung Hyn
Insaan Ki Fitrat
Gila Hy Jis Sy Usi Sy Pyar Bhi Hy
----------
Bna ajnbi mera hmsfr aur nazar bcha k guzar gaya
mein raston se thi be-khbr
usy mnzilon ka shaoor tha
na thi aur koi b ranjishen
sirf aadton mein tazaad tha
use pasand thi shokhian
muje sadgi pe ghuroor tha
----------
Han mujay nahi hay koe gham
Muhabaton ki musafton main
taweel or kathan rahon main
bay charagh tareeqyon ka
bay sabab udasiyon ka
Waraniyon ka tanhaeyon ka
Es kathan safar main
Meera hosla Meri rahber
Teri Yaad meri hamsafar
----------
AA DEKH MERI ANKH K YE BHEEGAY HOWAY MAUSAM
YE KIS NE KAH DYA K TUJHY BHOOL GY HUM
----------
MARA DIL DATA HAI SADA TUM PASS A JAO
TANG KARTE HAI YAH PAGAL HAWA TUM PASS Aa JAO
MUJHAY TUM SAY DOOR RAHNAY KA SHOQ BHE NAHE
DEKHO MARE HAI YAH DUA TUM PASS A JAO
----------
Mujhe khabar he yehi ek bat likh donga
Tumhary husan ko me chand rat likh donga
Bitha k ankhon k samne tujhe ay jana
Nikalte chand ki qismat me mat likh donga
----------
Bari Pur Sukoon Thi Zindgi Ye Dard Kis Ne Dia
Kis Be-niyaz Nigha Na Mari Weshaton Ka Barha Dia
Mere Yaar Ka Ya Hukum The k mai Kalaam Kum Karon
Merey Hont Aise k Meri Chup Ne Usey Rula Diya
----------
Uljhey to talkhiyon ki bhi hadd se guzar gaye
Tootay to kirchiyon ki bhi hadd se guzar gaye
Nafrat hoyi kisi se to be-inteha hoyi
Chaha to chahaton ki bhi hadd se guzar gaye
Hum ne khuda se kuch bhi na maanga magar usay
Maanga to siskiyon ki bhi hadd se guzar gaye
----------
Wo jisey samjhtay thy zindagi
Meri dharkhanon ka faraib tha
Mujhey muskarana sikha k
wo Meri rooh tak ko rula gaya
Wo ke jis ko paaney ki chah main
Main kabhi kilta gulab tha
Meri patti patti bikhar gayi
Mujhey aisi thokar laga gaya
----------
Jo udaas hain tery hijr main
jinhain bojh lagti hai zindagi
sarr-e-bazm youn inhain daikh kar
tery moun chupany ka shukria
jo zamany bhar ka asool tha
wo asool tu ny nibha dia
yehi rasm theri gi moutbr
mujhy bhool jany ka shukria
----------
AAY WAQT TU THAM JA
MUJHY YAAD KISSI KO KARNAY DY
MUJHY PYAAR HUA EK SUNG DIL SY
JO KOI BAAT MUJHY NA KARNY DY
HAR WAQT MUJHY WO YAAD AAYE
PHIR DIL SY YEH AWAAZ AAYE
YEH KAISI CHAHAT HAI US KI
JO JEENAY DY NA MARNY DY
----------
US SY JUDA TO HO GYA PAR YOON LAGA MUJHY
JAISAY JAHAN MAIN KOI APNA NAHI RAHA
WO BEWAFA NAHI MAGAR ITNA ZAROOR HAI
PEHLAY WO JIS TRAH KA THA WAISA NAHI RAHA
----------
WAQT AISI RAWANI MAIN DHALTA RAHA
MAIN BEKHABAR AISAY HI CHALTA RAHA
KABHI HANSTA THA APNY NASSEEBOO PY MAIN
KABHI ANDAR HI ANDAR MAIN JALTA RAHA
KAHEEN SHIKWAY MILAY KAHEEN THOKRAIN MILEEN
CHOTEIN AISI LAGIEN K SAMBHALTA RAHA
USKO PANY KI KHATIR TO SAB KUCH KIA
WOHI SUNG DIL THA RASTA BADALTA RAHA
----------
abhi soraj nhi dooba zara si shaam hony do
main khud hi lot jaonga mujhy nakam hony do
mujhy baadnaam krny k bahany dhunty ho q
main khud ho jaonga badnaam pehle naam hoony to do
abhi mujh ko nhi krni hy etiraf-e-shikast
main sb tasleem kr loonga yah chehra aam hoony to do
----------
mat cheen mere lab se apna naam is tarha
benaam zindagi me tera naam hi to hai
----------
chalo kisi tarah to haal puchnay ayei
kis haal may hey hum ko batanay ayei
us ka milna zarori na ta itna zeyada
jo alfaaz dill may tay wo batanay ayei
----------
Ek kurb e wafa musalsal muje sone nahi deta
Dil sabr ka adi kbi rone nahi deta
Mein uska hon ye raz to wo jan gya hai fraz
Wo kis ka hai ehsas ye hone nahi deta
----------
tu jab mare qareeb hota hai
hall_e_dil ajeeb hota hai
tum ko mari or mjjhe tari tamanna hai
dekhna ye hai ab kon kis ka naseeb hota hai
----------
Hum uth chaley tere mehfil se
pechay se tonay pukara bhi nahi
phir khud hi ruk gaye mere qadam
kyon k tere bin mera guzara nahi
----------
Kahan Aa K Ruknay Thay Raastey
Kahan Morr Tha Usey Bhool Ja
Woh Jo Mil Giya Usey Yaad Rakh Jo Nahin Milla Usey Bhool Ja
Woh Teray Naseeb Ki Barishen
Kisi Aur Chatt Pay Barus Gain
Dil Bekhaber Meri Baat Sun Usey Bhool Ja Usey Bhool Ja
----------
hum ko tary 1 awaze ny la doba
na jany kia hoga tary husan dedar sy
hum mujbor hy dil na qarar sy
wrna hum b tang agye hy bar bar ankar
----------
WO MERA SUB KUCH THA MERA MUKADAR NAHE FARAZ
KASH WO MERA KUCH NA HOTA MERA MUKADAAR HOTA
----------
Kabhi toota nahi mere DIL se teri yaad ka tasalsul Faraz
Guftagoo jis se bhi ho khayal tera rehta hai
----------
LOG TO CHAHTY THY K HAMAIN TOOT'TA DAIKHAIN"FRAZ"
HUM ZABT KARTY KARTY PATHAR K HO GAYE
----------
HANSTA THA MUJ KO TO PHIR RULA B DAITA THA
KR K WO MUJ SY AKSAR WAADY BHULA BHI DAITA THA
BE_WAFA THA BOHT MAGAR ACHA LAGTA THA DIL KO
KABHI BATAIN MOHABAT KI SUNA BHI DAITA THA
THAAM LAITA THA HAATH MERA KABHI YUNHI KHUD
KABHI HAATH APNA MERY HAATH SY CHURA BHI LAITA THA
----------
kathan safar hai mohabtoon ka sarab rasty hai soch laina
wo chor jaty hain ik qadam par jo sath chalty hain soch laina
yeh reet tum na nibah sako gy na sang rehny ki baat krna
k ishq waloon ki rahguzar main chanab aaty hain soch laina
----------
kaisay kaho dil ko teri jastojo nai
ya or baat ha to meri qismat ma nai
----------
Dil Ki Awaz Se Nagme Badal Jate Hain
Sath Na Do Tu Apne Badal Jate Hain
Palkain Bhi Zara Sambal Ke Jhapkna
Q Ke Palkain Jhapkane Se Aksar Sapne Badal Jate Hain
----------
Kon Sa Zakham Tha Jo Tarotaza Na Tha
Zindagi Mein Itne Ghum Thy Jis Ka Andaz Na Tha
Un Ki Jheel C Aankho KA Is Mein Kya Kasoor
Dubne Walo Ko Gehraai Ka Andaza Na Tha
----------
Jo juldi mile woh hai gum
jo dair se mile woh hai paisa
jo kisi kisi ko mile woh hai pyar
jo kismat se mile woh hain AAP
----------
Suljha Hua Sa Fard Samajhte Hain Mujh Ko Log
Uljha Hua Sa Mujh Mein Koi Dosra Bhi Hai
----------
Wo Mujhe Zindagi Samajhta Hai
Kya Usy Mera Aitebar Nahi
----------
Us Se Kehna Ke Hum Khush Hain
Bus Us Ki Yaaden Staati Hain
Un Ki Doori Ka Ghum Nahi Mujhe
Bus Zara Palkain Bheeg Jati Hain
----------
Wo Jo Roop Zair-e-Naqab Tha
Usy Dekhna Mera Khawab Tha
Jo Mila Tha Hijr Ki Shakal Mein
Meri Chahaton Ka Azaab Tha
----------
Wo Roz Daikhta Hai Dobtay Hue Suraj Ko
Kash Mein Bhi Kisi Sham Ka Manzar Hota
----------
Mujhe Us Matti Se KHUDA Ne Banaya Hai
Azal Ke Din Jo Reh Gai Thi Wafa Ke Waste
----------
Kuch Likh Nahi Pate Kuch Suna Nahi Pate
Haal-e-Dil Zuban Pe La Nahi Pate
Woh Utar Gaye Hain Dil Ki Gehrayon Mein
Wo Samjh Nahi Pate Hum Samjha Nahi Pate
----------
Dil Ko Aata Hai Jab Bhi Khayal Un Ka
Tasver Se Puchte Hain Phir Haal Un Ka
Wo Kabhi Hum Se Pucha Karte Thy Judai Kya Hai
Aj Samjh Mein Aaya Sawal Un Ka
----------
Hum Chor Dein Gey Tum Se Yun Baat Cheet Karna
Tum Puchte Phiro Gey Apna Qasoor Hum Se
Hum Cheen Lenge Tum Se Ye Ada_e_Beniezi
Tum Mangte Phiro Gey Apna Ghroor Hum Se
----------
Kitne Masoom Hain Zamanay Ke Ye Log
Ishq Karte Hain Or Kehte Hain Ke Nibhaen Kaise
----------
Haseen yadon k kuch musam usay arsal krne hain FARAZ
Suna ha shab ko tanhai usay sonay nhi deti
----------
main jab bhi sajde mein geya to kuch pa kar utha
ek tum ho k hazaar sajdon se bhi mil na sake
----------
WO JO MILTA HAI TO HAR DARD BHULA DAITA HAI
JANY KIA BAAT HAI DIL USS KO DUA DAITA HAI
WO MUJHY PYAAR SY ROTTEY MAIN HANSAANY WALA
YAAD ATA HAI TO HANASTAY MAIN RULA DAITA HAI
----------
May kis umed pe waabasta kar loon khawahishen apni
Teray mizaj k moosam koi itibar nahi
----------
hum yaD AHAE TO THEEK WARNA bhula dena
ho koi khata humse to hamen seza dena
waisey to hen hum gelay kagaz ki manind
likha jai to theek warna jala dena
----------
kiyun ghareeb samjhte hain hamen yeh jahaan waley 'FARAZ;
hazaaron dard ki dulat se malaa maal hain hum
----------
koi anjaana jab apnaa bann jaata hai
na jaanay Q wohi buhaat yaad aata hai
laakh bhulaanaa chaho uss chehray ko magar
AKS uss ka her chez mei nazarr aata hai
----------
Kudrat Ke Karishmey Mein Agar Raat Na Hoti
Khwabon Mein Bhi Unsey Mulaqaat Na Hoti
Yeh Dil Toh Har Ek Gum Ki Wajah Hai
Yeh Dil Na Hota Toh Koi Baat Nah Hoti


No comments:

Post a Comment