Thursday, 5 September 2013

Love Shayeri Part 5

GHALATFEHMI ne baato ko barha dala yunhi warna
kaha tha kuch wo samjhe kuch mujhe kuch or kehna tha
----------
PHIR KISI PIYAAS K SEHRA MAIN MUJHY NEEND AYE FRAAZ
AUR MAIN KHAWAB MAIN MAANGOO TUJHY PAANI KI TARAH
----------
Roya Hai Dil Aankh Muskurai Hai
Youn Hi Hum Ne Wafa Nibhai Hai
Jo Ek Lamha Bhi Humein Na De Paya
Us Bedard Ke Khatir Hum Ne Zindagi Gavahi Hai
----------
HAMARI TARRAP TO KUCH B NAHE FARAZ
SUUNA HA US K DEEDAR KO AAINEY TARRASTY HAN
----------
hathon pay lekh lekh kar choomty hain un ka naam
mudat ho gahee hai genain khat lekhy hovy
----------
Sabhi ko sabh kuch nahi milta
Nadi ki har lehar ko sahil nahi milta
Yeh dil walon ki dunia hai dost
Kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta
----------
dor rahny sy muhabat bahrti hai fraz
ya kah kar wo shaks shehar chor gya
----------
MERE ASHKON KO PALKON PR MACHALNA B NAHE ATA
HISAR E ZABT SA MUJE NIKALNA B NAHE ATA
GAYE HO AISI RAHOON MA AKELA CHORE K MUJKO
K JIN PR THEAK SA MUJKO CHALNA B NAHE ATA
MUJE LAGTA HA JASE MA KOI GHAM KA SURAJ HUN
K JISKO SHAM HO JAYE TO DHALNA B NAHE ATA
----------
KUCH ES TARHA SY NAZAR ANDAZ HO GAYE JASAY
IZAAFII HURUF THY HUM UNKI ZINDAGI KE KITAB MA
----------
ek umer ki judai mere naseeb kar k
woh tu chala gaya batain ajeeb kr k
tarz-e-wafa ko uski kya naam doon may ab
khud door ho gaya ha muj ko kareeb kar k
----------
Ab tu dard sehnay ki itni aadat ho gai hen " Saqi "
Jab dard nahi milta tu dard hota hen
----------
Aati hey phathron sey kushbo kabhi kabhi
Patey hain kuch gulab pharon pa perwarish
----------
jany kaise jeete hain log yadoon k saharay faraz
main to kai bar marta hoon aik yad aane par
----------
Zindagi me kuch lamhe khas ban gaye
Mile to Mulaqat ban gaye
Bichare to yaad ban gaye
Aur jo dil se na gaye wo AAP ban gaye
----------
Hoi ho jo khata hum sa to khata samaj k bhool jana
bhoolna sirf khata ko kaheen hum ko na bhool jana
----------
wo jo kahta tha na ji sakain ga hum 1 pal tara bin
wo aj bi zinda ha yeh lafz kisi or ko kahna ka lia
----------
jo chaho wo mil jay zaroori tu nahi "Noor"
Kuch cheezen azal se taqdeer mein nahi hotein
----------
Tandi-e-baad mukhalif saay na gabra aah ookab
ya to chalti ha tuja uuncha oorana ka lia
----------
Us per khushi sajti hai buhut
Usay kehna muskraya karey
uski aankh num si achi nahi lagti
Usay kehna ghum mujhe de jaya kary
Ye zindagi buhut taveel safar hai
Usay kehna tahhae se kinara karey
----------
Rakibo ke sir ghalat ilzame bevafai hai
Ghairo ne to sirf hava di hai Aag apano ne lagayi hai
----------
Yahaan Sey Ab Hum Kahaan Jaye Gey
Sheeshey Key Ghar Jab Toot Jaye Gey
Piroo Rakhaa Tha Jinhain Apni Ankhoon Par
Ye Moti Hain Jo Bikhar Jaye Gey
----------
Ik muddat si ho gaye hai tera deedar kiye huye pawan
Aja ik jhalak dikhlaja k baqi ki zindagi bhi guzzar le
----------
Tum bhol jawoo mujko aisa kabbi na karna
Mai ik nazar ko tarsoo aisa kabbi na karna
Tum door jawoo mujsay mai daikhown taira rasta
Tum lowt k na aawoo aisa kabbi na karna
----------
AY BAAD_E_SABA... US NAGAR MAIN JA USAY ITNA BATA... EK DOST TERA...
KEHTA HAI SADA... MUJHAY APNA BANA... CHAHAT KO JAGA... AY JAAN_E_GHAZAL..TERI BAAT AJAL... TERY HOUNT KANWAL TERI AANKH GHAZAL AY JAAN_E_WAFA... KHUD TU HI BATA?
KAB TERY SIWA
MUJHY CHAIN MILA?
----------
Ek aur shaam ja rahi hai zindagi ki
Ek aur din dhal raha ha zindgi ka
Ye mat socho k kitne lamhe haiN baki zindgi k
Ye socho k kitni zindgi hai har lamhe maiN
----------
Mery dil k kisi kony main ek masoom sa bacha
baron ki dekh k dunia bara hony se darta hai
----------
hathon pay lekh lekh kar choomty hain un ka naam
mudat ho gahee hai genain khat lekhy hovy
----------
Sitam khud pe bohat zayada kar lia
usay bhol janay ka paka irada kar lia
wo aya to sab shikway shikayat bhol gya
dil ko phir se main ne kushada kar lia
----------
Ik masla hal howa to kai or kharay ho gae
Umer k sath sath dukh b barray ho gae
----------
Mujhe Sa'ad jate jate faqat itna keh gaya hai
Jise de dikhai achcha wo kharab bhool jae
----------
Dunyadaron me aksar darwesh nikal aate hain
Aur darwesh ka kia hai sahib-e-dunya hosakta hai
----------
Tarke talouk to es tarha na muj se karta
koi shikayat thi agar to gilla muj se karta
bicher k kyon khud ko b azeat daita hi
os ko karna tha agar to burra muj se karta
main bewafa tha to kyon choor gaya muj ko
wo jo bawafa tha to wafa muj se karta
----------
APNI ANKHON K SAMANDER MEIN OTAR JANAY DE
TERA MUJRIM HON MUJHE DOOB K MUR JANAY DE
----------
chandni chand se hothi hai assmani sitaro se nahin
hum apne dil k mousam ki baat kar tey hai praaiyi baharoo se nahi
----------
hazarooh manziley hoon ghee hazarooh karwaah hoon gay
baharey hum ko doondey gi najaney hum kahan hoonge gay
----------
har dharkan k sath dil tera naam leta hai
tera khayal meri toote sansoon ko tham leta hai
jab bhi tanhaeyan satati hain
tera tasawur mera haath tham leta hai
----------
Usay hai yaqeen k main jan nahi day paun ga
Aur mujhe ye khof hai k roye ga aazm k mujh ko
----------
wo prinda jisay apni parwaz say fursat na thi
aj tanha hua to mere hi dewar pa a bethaa
----------
Yaad-E-mehboob say zinda hoon KHUDAYA warna faraz
kon jeeta hai teri dunia main tamasha ban kar
----------
Sath dil k chalay ham Dil ko na roka ham nay
Jo na tha apna toot k chaha usay
Aik dhoky main guzari umaar sari
kuch samjh nai i kya khoya kya paya ham nay
----------
RUK HI JATI HAI NAZAR HAD-E-NAZAR TAK FRAAZ
DIL TO KEHTA HAI JAHAN TUM HO WAHAN TAK DAIKHOON
----------
Kaha tha kis ne ke ahad-e-wafa karo uss se
Jo yoon kiya hai to phir kyun gila karo uss se
Ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi
Zara fasana-e-dil ibtida karo uss se
Yeh kya ke tum hi gham-e-hijr ke fasaney kaho
Kabhi to uss ke bahaney suna karo uss se
----------
Aankho Ke Saamne Kal Jo Aapka Rumaal Aa Gaya
Kaise Miloon Phir Aapse Ye Phir Sawaal Aa Gaya
Uutth To Gaye Hi The Kadam Aapke Ghar Ki Taraf
Magar Dil Ko Aapki Dee Kasam Ka Khyaal Aa Gaya
----------
PATHRON KI BASTI MEIN KAROBAR SHISHEY KA
KOI BHI NHI KARTA AEITBAAR SHISHEY KA
KAANCH K PUTLAY THORI DOOR CHALTAY HAIN
4 DIN KA HOTA HY KHUMAAR SHISHEY KA
BUN SANVAR K HARJAAI AAJ GHAR SAY NIKALA HAY
JAANAY KON HOTA HAY PHIR SHIKAAR SHISHEY KA
----------
KABHI AANSOO BAHAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA,

JO KHOOD KO BHOOL JAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA,
----------
KOI THA JO TUMHARI EK HANSI PAR JAAN DETA THA,

SO JAB BHI MUSKURAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA ,
----------
WAFADARI KI BEEMARI FAKAT MUJ HI LAHAK HEI,

KISSI KO AAZMAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA ,
----------
ABHI TO TUM NAI MANZIL NAEY RASTON KE RAHI HO,

KABHI GAR LOT AAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA ,
----------
JAHAN BHI JAB BHI CHAHA HEI MUJE TUM NE BULAYA HEI,

JAHAN BHI JAB BHI CHAHO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA,
----------
SUNO! BHATTI KI BAS TUM SE FAKAT ETNI GUZARISH HEI,

MUJE GAR BHOOL JAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA,
----------
katti nahi hain meri raten, katty nahi hain mery din,
mery saary sapny adhury, zindagi adhuri tery bin,
----------
sathi mene paa k tuje khoya, kaisa hai ye apna nasib
hun tuj se bichhar gayi main yaden teri hain mery Qarib
----------
ye raat khushanasib hai, jo apne chand ko
kaleje se lagae so rahi hai
yahan to gam ki sej pe hamari arazu
akeli munh chhupaye ro rahi hai
----------
Yeh masaail-e-tasawaf, yeh tera bayaan Ghalib,
Tujhe ham wali samjhte jo na baada khwaar hota
----------
Use kaun dekh sakta, ke yagaana hai woh yakta,
Jo dui ki bu bhi hoti to kahin do chaar hota.
----------
Hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na
gharq-e-darya,
Na kabhi janaaza uthta, na kahin mazaar hota.
----------
Kahun kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri bala hai,
Mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota.
----------
Gham agarche jaan gusal hai, pe kahaan bachen ke dil hai,
Gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota.
----------
Mai jis k Dil ki Kitaab banta,
Mai jis ki Chahat ka Khuwab banta,
Mai Hijar ki lambi Raton mai,
Yaad ban ker, Azab banta,
Koi To Hota...!!

No comments:

Post a Comment