Thursday, 5 September 2013

Love Shayeri Part 13

Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din
Kya rooz garjtay ho Baras jao kisi din
Raazoon ki tarah utro mere dil mai kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din
Paharoon ki tarha Husn ki baarish mai nah loon
Badal ki tarha jhoom k aao kisi din

----------
Us k bin chup rahna acha lagta hai
Khamosi se sab kuch kahna acha lagta hai
Jis ki yad main ansu brasty hain
Samnay us k kuch na kahna acha lagta hai
Mil k us say bichar na jaun darta hun
Isi liay bas dur hi rahna acha lagta hai
----------
Kisi ne kaha tha kisi se na kehna
Lage chot dil pe to Khamosh rehna
Jahan chot khana wahin Muskurana
Magar is ada se k ro de Zamana
----------
toot kr caha jissey wo lot kr aya nahi
mery dil ko us k siwa or koi baha nahe
piyar ke soda geeri main hum barabar hi rahy
us ne kuch khoya nahi or main ne kuch paya nahi
----------
raat sunti rahi main sunata raha
dard ki dastan main batata raha
log logon se chahat nibhatay rahay
ek wo tha k mera dil jalata raha
dhoop chaon si us ki tabiat rahi
wo nighain milata churata raha
----------
GHUM MAIN BASNAY WALOON KO RULAYA NAI JATA,
LEHROON KO PANI SAY HATAYA NAI JATA,
HONAY WALAY HO JATAY HAIN KHUDI APNAY,
KESI KO KEH KAR APNA BANAYA NAI JATA.
----------
mut dakh k koi shaks gunehgar ha kitna
ye dekh k tarey sath wafadar ha kitna
ye mut soch k usse kuch logo se nafrut bhi ha
yeh soch k usse tujh say pyar ha kitna
----------
Rasm_E_ulfat hi ijazut nahi deti warna.....
hum bhi aisa tumhien bhulain k sada yad karo.....
----------
In hi raston pa chal ka agar aa sako to aao
Maray ghar ka rastay may koi kahkshan nahi hay
----------
Mere Haathon ki lakeeron main yeh aib chupa hai mohsin
k main jis shakhs ko chah lo wo mera nai rehta
----------
Eik ajnabi se tujhe itna pyar keun hai
inkaar kernay per chahat ka izhar keun hai
usay pana nahi mary taqdeir main shayad
phir bhi her mor per usi ka intezaar hai
----------
Zindagi sey yehi gillah hai mujay
Tu bohet dair sey millah hai mujay
----------
ab tum hi muhabat ki ibtda kar do
nafraton k is daur main wafa kar do
mujh ko lauta do ik bar mera dil
ya phir khud ko meri sansoon main fana kar do
----------
Wo hus kar mile Hum Pyar Sumaj Bethe,
Bekar hi Ulfat ka izhar kar bathe
Itni achi to nahi kismat humari
Phir kyo unko apne Mohabat ke Hakdar samaj baithe
----------
mil k bicharna dastoor he zindagi ka
ek yehi qissa mashoor he zindagi ka
beeta pal kabhi lot kar wapis nahi aata
yehi sabse bara qasoor hai zindgi ka
----------
Bin tere dil ko samjhaoun kaisy,
Aana Chahou tere pass to aaun kaisay,
Meri her sans amanat hai teri yaadon ki,
toot kar is se ziada tujhey chahon kaisay. . .
----------
Hote nahin qobool dua tark-e-ishq ki,
Jab dil manta na ho toh zuban ma asar kahan
----------
Waqat rukhsat wo meri baat maan gaya
apnay saray dard muje daan kar gaya
bichra is ada se k rut hi badal gai
aik shakhas saray shaher ko veeran kar gaya
kal ajab waqia howa tha shaher main
apnay mafaad pe wo mujay qurban kar gaya
wo baat baat par jis ko kehtay thay apni jaan
Akhar wo shakhs muj ko bejaan kar gaya.
----------
Lafzo ki tarah mujh se kitabo mein milna,
Tu ban k mehak mujh se gulabo mein milna,
Jab bhi mujhe teri yaad aaye,
Tu ban k aansu meri aankhon mein milna.
----------
kabhi pyar dekhna ho to mere ankhon ma dekhna,
kabhi izhar dekhna ho to meray hontn par dekhna
or agar mere dunia dekhne ho,
to tum ainay ma apnay aap ko dekhna
----------
Aap jaise log hume kuch khas lagte hain
mann me har waqt hum ek aas rakte hain
jaane kab aa jaye sms aap ka
is liye cell ko dil ke pass rakte hai
----------
Teri Shokhi Shararat Achi lagti hai.
Teri Sanson ki hararat achi lagti hai.
Tera Berukhi main yun baton ka sunna.
Tere ghusse main banawat achi lagti hai.
Tera khayal Dil-o-Jaan main hai janaa.
Tasawwar main teri nazakat achi lagti hai.
Judai se tang hai SOHAIL lakin.
Tanhai main teri yaad achi lagti hai..
----------
kiya hussan hai kiya jamal hai.
wo bheer mein bhi chalay to tanha dikahi de.
----------
Us Shaaks Say Jub Tak Koi Baat Nahi Hoti
Din Nahi Nikalta Or Raat Nahi Hoti
Na Khafa Huva Keray Wo Usay Kehna
Bina Us K Mukamal Meri Zaat Nahi Hoti
----------
Main Unwan Tha Wo Dastan Likh Gaya
EK Ada Say Phool Ko Gulistan Likh Gaya
Khak k Zaron C Thi Meri Oqaat
Wo Apnay Lafzon Mai Mujhay Asman Likh Gaya
----------
Wo Shaks Mujhay Pyara He Usay Kehna,
Wohi jaan Ka Sahara Hai Usay Kehna.
Log Piarey Hain Bohut Se Mujko
Wo Sab Se Pyara Hai usay Kehna.
----------
Kar k waffa dil waffa mangnay laga
pagal dil mohabat ka sila mangnay laga
jab se ousey aziz hoe meri zindagi
tab se main apni zindagi ki dua mangnay laga
----------
mere hontoon k mehekte howe nagmon pe na ja
mere sene pe or bhi gum palte hen
mere chehre pe dikhawa ka tabasum he magar
meri ankhon me udasi ke diye b jalte hen
----------
mere hontoon k mehekte howe nagmon pe na ja
mere sene pe or b gum palte hen
mere chehre pe dikhawa ka tabasum he mgr
meri ankhon me udasi ke diye b jalte hen......
----------
Tera Khayal, Teri Tadap, Teri Arzoo.
Ek Bheerr Si Lagi Hai Mere Dil K Shehar Main.
Dunniya Ki Gou Sab Naimatain Yahan Dastiyab Hain.
Bus Ek Teri Hi Kami Hai Mere Dil K Shehar Main.
----------
UN KI NAZRAIN TU UTHTI HAIN KAAM SAY
HUM SAMAJTAY HAIN KHAYAL APNA HAI
----------
Zindagi Ki Rahon Mein Hum Ney Shaam Kar Di
Dil Ki Har Gali Terey Naam Kar Di
Itna Bhi Na Socha Kaisay Katey Gi Zandagi
Bas Bina Sochey Hi Har Khushi Terey Naam Kar Di
----------
kali se phool banane me kitna waqt lagta hai,
lehro ko kinaro se milne me kitna wqt lagta hai
mobile hai tu kar do na SMS
karne me kitna waqt lagta hai
----------
mujhe ehsas-e-ulfat tum enayat q nhi karte
meri izzat to karte ho mohabbat q nhi karte
ye sare log kehte hain k tum chanchal tabyat ho
magar tum samne mere shararat q nhi karte
jo apni guftagu me phool tum takseem karte ho
kabhi un pholon ki mujh par sakhawat q nhi karte...
----------
Wo chand chup gia muje raat sonp kar,
Aankhon ko intzar ke lamhat sonp kar,
Aik shaks tha jo muj se bichar gia,
Ankhon ko meri mosam e barsat sonp kar....
----------
WafA Ka dArs lena Ho to phooL se Lo
Jo podAy se juda Hoty he murjhA JatA Hy.
----------
Us nay kaha tha k tumhari aankhein bohat roshan hain
Mein kuch soch kar hans pari
Us bekhabar ko kia khabar
K barish k baad hee mausam nikhartay hain
----------
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
----------
Wo mohabbat thi na wo chahat thi
Usko to dil lagi ke adat thi
May ne mazbooth jisko jana tha
Kitni kamzor wo rafaqat thi
Wo jo wade te joote dawe te
Piyar kya tha teri siyasat thi
Mera dushman howa qabeela you
Mere lahje may ek baghawath thi
Bazi-e-eshq harthe kaise
Usko is khel may maharat thi
Usne soda kiya na gaate ka
Jiski har bath ek tijarath the.
----------
Hasti ko dosti main fana kon karega.
Ye farz zamane main ada kon karega.
Hathoon ki lakiron ko zara dekh Najoomi.
Ye dekh mere sath wafa kon karega.
----------
machliyan dasht mein hoon aur hiran pani mein
ashk se dasht bhare aur aah se darya sokhay
----------
Laghzishon ko manta wo bhi nahi mei bhi nahi

dono insaan hain khuda wo bhi nahi mei bhi nahi

wo mujhe aur mei ose ilzam dete hain magar

apne andar jhankta wo bhi nahi mei bhi nahi

chahte dono boht hain ek dosre ko magar

ye haqeeqat manta wo bhi nahi mei bhi
----------
Bejan ho chuki hai bohat shehar ki fiza,
Tareek raston main kahin kho na jaen hum,
Us ke bghair aj bohat gee udas hai,
Ghalib chalo kahin se use dhoond layen hum
----------
sub jane hai ye dil
phir b maane na ye dil
tujhe ko bhulana chaho main
par maane na ye dil
----------
Wo meri har baat se ikhtilaf karta hai
Chup chup k magar mera tawaf karta hai
Kahin koi oar shaks mere qareeb na ho jaiy
Isi liay wo sab ko mere khilaf karta hai
----------
Tanha chor kar humko hosla bhi detay ho
Sans cheen kar jeenay ki dua bhi detay ho
Ek taraf judai ka tazkira bhi jaari hai
Oar muskuranay ka mashwara bhi detay ho
----------
kuch bikhre sapno se ankhon main nami hai
Ek chota sa asman or umedon ki zamin hai
Yun tou bohut kuch hai khyal-e-zindagi mein
Sirf jise chahtay hain us ki kami hai
----------
woh to nahi mil saka ab royen kia rulayen kia..
jisko khaber hi na ho iss dil ki usko haal baatayen kia...
usnay chaha bhi to woh main na thi...
apni kismut pay ansoo bahayen kia...
barish ki in bundon main Main saray ansoo baha daloon...
kay jub dil hi toot chuka ho to ankh main ansoo bachayen kia
----------
Aap Ko Chaah Kar Kuch Na Chaaha Kabhi,

Meri Chaahat Ka Kuch To Silaa Dijiye,

Phool Murjhaa Gaye Aap Ki Chaah Mein,

Muskura Kar Unhein Phir Khilaa Dijiye.
----------
Ishq wahi hai jo ho ek tarfa,
Izhaar-e-ishq to khwaish ban jaati hai,
Hai agar ishq to ankho me dikhao,
Zuba kholne se ye numaish ban jaati hai.
----------
Koi achi c saza do mujh ko,
chalo esa karo bhula do mujh ko,
tm ko bhool k jion to moot aajai,
dil ki gehraiyon say DUA do mujh ko....
----------
Zindagi Hai Nadan Is Liye Chup Hon
Dard Hai Suba Sham Is Liye Chup Hon
Sochta Hon Keah Doun Zmane Se Ghum-e-Dastan
Lekin Us Main Aayega Tera Naam Is Liye Chup hun
----------
Har baar dil se yeh paigaam aaye
Zubaan kholu to tera he naam aaye
Tum he kyon bhaye dil ko kya malum
Jab nazroo k saamne haseen tamaam aaye
----------
Husn ho to nazakat a hi jati hai

Nazakat ho to nigahon mai shaistagi a hi jati hai

Nigahain ho to kadar ho hi jati hai

Kadar ho to payar ho hi jata hai

Aur agar,
Payar ho to Muhabbat ho hi jati hai....
----------
Tera Khyal Teri Talab Teri Arzoo,
Ek bheer Si Lagi ha mary Dil k shaher main,
Dunya ki naymtain to yahan destiyab hain,
Ek teri hi kami hai maray Dil k shaher main
----------
Aay Khuda Ankhon ko Khuch aisi Khudai Dey
Jidhar Dekhon Udhar wohi Dikhai Dey
Kash aisa asar ho jay aj hawa main
k unko pukaron aur srif unhi ko sunai dey
----------
taira drd tha tairi aas thi,
main jidher gia,main jahan giya
maire din tu yunhi guzer giya,
junhi sham hui main bikhar giya,
is abar ka maire yar se
kitna milta julta mizaj tha,
kabi berukhi se guzar gia
----------
apnay dil ki un afwahon say kam na lay
Mujhay yad rakh bayshak mera naam na lay
Tera weham hay k hum bhool gay tujhay
Meri koi aisi sans nahi jo tera naam na lay
----------
Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna...
ghar jao to yaaron se mera zikar na kerna...
woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
tum raah guzaron se mera zikar na kerna...
phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se...
dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna...
----------

----------
aay ZINDAGI hamain tujh say tamanna kab hai
Hum to is aas pay jetay haain marna kab hai
----------



No comments:

Post a Comment