Thursday, 5 September 2013

Love Shayeri Part 12

Dekha Jidar Paya Aalam Hijab Ka
Jali Ko Nam De Dia Hum ne Niqaab Ka
Dukh Ki Tabash Ha Dharkanain
Tanhaiyan
Bhi Hain
Yeh Zindagi Hai Jaisa Din Ho Hisab Ka

----------
Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana ,
Na jaane kahan kho gaya vo zamana ,
Tumhen bhuulane ki ma koshish karunga
Ye vaada karo ke na tum yaad ana ,
Mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai,
Tumhen bevafaa keh raha hai zamana,
----------
Ghulab ko bhi kanwal bana deitay
Un ki ik Nazar pay GAZAL bana dietay
Kambakht MARTA nahin hum pay koi
warna PAKISTAN mein bhi TAJMAHAL bana dietay
----------
Bus ik zara khayal is dosti ka tha,
warna bohat gila teri berukhi ka tha,
mujhko laga me bhi teri zindagi mei hoon,
per yeh to koi dokha meri saadgi ka tha.
----------
Bin Tery Shehr Ka Shehr Weran Rehta Hai.
Bichar Kr Tuj Sy Hr Rasta Sunsan Rehta Hai.
Wo Tujhy Tujh Sy Ziada Pyar Krta Hai.
Jo Tery Samnay Aksr Anjan Rehta Hai.
----------
Baat baat pe jo yun rooth jate hain,
Hath unse anjane me choot jate hain,
Koi unse kahay k bara nazuk hai pyar ka rishta,
Hanste hanste bhi dil toot jate hain...
----------
Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai ,
Zindagi teri ik-ik adaa jurm hai,
Aye sanam tere baare mein kuch soch kar,
Apne baare mein kuch sochna jurm ha i,
Yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha ,
Bhool jana tujhe doosra jurm hai,
----------
Jinki Tamanna Dil me hai,
Judai Hum Unki Sehtay hain.....!
Fursat Nahin Unhain Hamsey Baat karney ki,
Issi Liye Hum Har Waqt Khamosh Rehtey hain...
----------
Kisi ne kaha tha kisi se na kehna
Lage chot dil pe to Khamosh rehna
Jahan chot khana wahin Muskurana
Magar is ada se k ro de Zamana
----------
Jaan kar bhi woh mujhe jaan na paiy ,
Aaj tk woh mujhe pehchan na paiye ,
Khud hi karli bewafai hum ne,
ta-keh un par koi ilzaam na aaye ...
----------
In khoye hoay aansoun se aqeedat hai mujhay bhi,
Tumhari tarha zindagi se shikayat hai mujhay bhi,
tum agar nazuk ho to main bhi nahin pathhar,
Tanhai main rou denay ki aadat ha mujhay bhi
----------
Udas aankhon me shab ka Khumar Dekha Hai,
K Pehli bar usay Beqrar Dekha Hai,
Jisay Khabar hi na hoti thi mere aany ki,
Usi ki Aankh me ab intezar dekha hai,
----------
tum ne chaha nahi halat badal sakte the
narm lehje se patthar bhi peghal sakte the
tum to tehre rahe pani ki tarha
samandar bante to bohat dor nikal sakte the
----------
Sabub Judai Ka Kuch To Batao Mujhay
Phir Chahay Dil-O-Jaan Say Satao Mujhay
Chalo Ye Mana K Fursat Nahi Tumhay
Magar Ye Lazim To Nahi K Bhool Hi Jao Mujhay
----------
Meri tanhai may mujh say guftago karta hay kon...
Tu nahi hota to meri justaju karta hay kon....
kis ka khanjar hay jo kar deta hay Seenay ko do neem....
Phir Pashimani may zakham a dil rafo karta hay kon.....
----------
Har kisi ko muqammal jahan nahi milta
kisi ko zameen toh kisi ko asmaan nahi milta.
----------
jo hum na ho tu zamane ki sanse ruk jaye
qateel waqt k seney may hum daraktay hein
----------
Faslon ne dil ki qurbat ko barha dia hay,
Aaj uski yad ne besabab rula dia hay,
Usko shikwa hay k mujhe uski yad nahi aati,
Hum ne jis ki yad me khud ko bhula dia hay
----------
amal se zindagi banti hai janat bhi jahanum bhi,
ye khaki apni fitrat main na noori hai na nari hai,
----------
Mery wajood se lipti khushbo tere naam ki hai
Meray dil me basi her ek dharken tery naam ki hai
Itna yaqeen ker lay meray hamnasheen
Bin tery meri zindagi baynaam si hai
----------
Dil lagi thi usay hum se mohabat kab thi
Mehfil-e-ghair se unko fursat kab thi
hum thay muhabat mein lut jany k qayal
us k wadon mein wo hakeekat kab thi
wo wakt guzari k liay karta tha pyar ki batein
warna meri khater us k dil mein chahat kab thi
----------
yaadon ki zindagi samandar ki tarah hai,
jo is me doob gaya bemaut mar gaya
----------
DIL MAIN AUR TOU KYA RAKHA HAI
TERA DARD CHUPAA REKHA HAI
ITNAY DUKHOON KI TEZZ HAWAIN
DIL KA DEEP JALA REKHA HAI
CHAAND SE CHAHROON NE DUNIYA MAIN
KYA ANDHERAA MACHA REKHAA HAI
----------
ISHQ SAHIL HAI JISKI MANZAL NAHI HOTI
AUR HAR SURAT MOBAHHAT K QABAL NAHI HOTI
----------
Dua Hai K Teri Duniyan Me Koi Ghum Na Ho
Dua Hai K Trei Muskan Kabhi Kam Na Ho
Agar Kabhi Tere Ankh Me Aansu A Jay To
Dua Hai K Us Ki Vajha Kabhi Hum Na Ho
----------
Intazar-e-Deed main Aankhain Lahoo Lahoo kar kay
Main Sharamsar houa Teri Justujo Kar kay
Yeh Hum say lahou ka kheraj phir kis nay manga
Abhi to niklay thay maktal ko surkhrou kar kay
----------
Ae chand chamkna chor bhi de,
Teri chandni hamein bohat stati hai,
Tere jaisa hai kisi ka chera,
Tujhe dekh kar us ki bohat yaad aati hai
----------
DATEY HAIN WO DARD BAS HAMI KO,
KIYA SAMJAHIEN GE WO IN ANKHO KI NAMI KO,
LAKHON DEEWANE HON JIS SHAKHS K,
WO KIYA MEHSUS KARIN GE EK MARI KAMI KO.....
----------
Aankhon mai Jo TehReeRain theen,
Honton pe Wo Bol na thay.....
Hum thy Us k Pyar k Aashiq,
Bas Hathon mai Kashkol na thay.....
Hum ney us ko Toot k chaha,
Yeh Uska Haq tha Lakin.....
Wo bhi Hum ko Toot k chahey,
Hum itney... ''Anmol'' Na thay.
----------
Kaha us ne bharosa dil pe to itna nahi karte
Kaha main ne muhabbat mein kabi socha nahi karte
Kaha usne buhut khush rang dunya k nazarey hain
Kaha maine k jab tum ho to kuch dekha nahi karte
Kaha usne main tumse door hon lekin tumhara hon
Kaha maine k sapne dil ko behlaya nahi karte
Kaha usne tmhari chahat tumhain ruswaiyan degi
Kaha maine k ham shohrat se ghabraya nahi karte
----------
Ay zindagi mujh se ye dagha na kar...,
May US ke bina jiyun ye dua na kar...,
Koi daikhy bi USAY to hoti hai jalan...,
Ay hawa to bi ab USAY chua na Kar.
----------
PAANI KA EK KATRA ANKH SAY GIRA ABHI ABHI
KIA TUM NAY MUJH KO YAAD KIA ABHI ABHI
TUJH SAY MILAY ZAMANA HUA
MAGAR YUN LAGAY KOI MUJH SAY MIL KAR GAYA ABHI ABHI
----------
MERAY DIL MAIN TU UTAR JAYE
MAIN DEKHOON AAINA AUR TU NAZAR AAYE
TU HO SAMNAY AUR WAQT THEHER JAYE
YAH ZINDAGI TUJHAY YUNHI DEKHTAY HUWAY GUZAR JAYE
----------
HUM NAY TERE LIYE RIVAAJ ALAG RAKHA HAI
TUJH KO DUNYA SAY MERE YAR ALAG RAKHA HAI
YAAD KARATY HAIN TUJHAY EID MANA LAITAY HAIN
HUMNAY APNAY LIYE TEHWAR ALAG RAKHA HAI
----------
tumhare siwa kuch na chaha krene gay
k jub tak jiyen gay mohabbat karen gay
----------
sukh un ko milta hai jo dukh ko sahtay hain
ansu un k bahtay hain jo yadon main rahtay hain
or hum yaad un ko kartay hain
jo humaray dil main rehtay hain
----------
SHAMMA pe chala muqadma PARWANAY k khoon ka,
Poocha gaya SHAMMA say kia khoon MASOOM ka,
SHAMMA boli PARWANA jawani k nashay main jhoom raha tha,
Meray aagey peechay ghoom raha tha,
Khoon na karti to kya karti?
Bhari mehfil main mughay choom raha tha...
----------
Sabi udaas mosam hai kabi milnay chalay ao.
Dekho hum gumsom hai kabi milnay chalay ao.
Tumharay pass to hogi zamane bhar ki khushian.
Hamaray pass to ghum hai kabi milnay chalay ao.
Tumhari yaad ab dil ko bohat taklif deti hai.
Nigahin b to purnam hai kabi milnay chalay ao.
----------
DIYA Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko or Kya Dena
Staray Nochnay Walo
Faalk Ko Aasra Dena
Kabhi Is Tor se Hansna
K Dunya Ko Rula Dena
kbhi Is Rung Se Rona
K khud Par Muskra Dena
Mai Teri Dastras Chahun
Mujhy Aisi Dua Dena
Mai Tera Barmla MuJrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena
----------
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
----------
kisi roz milo tanhai main
kitni batein kehni han
tera hath pakar kr rona ha
teri ankhon me khona ha
phir ankhon sy kuch kehna hey
aur lafzoon ne chup rehana ha
aansoo bhi to zid kartey han
inhey tery saamney girana ha
kisi roz milo tanhaai me
khawabon ki ek PARCHAAI me
----------
koi lamha teri yaad k bin nahi guzarta
mousam ki tabdili se yeh dil nahi behalta
mujh se tumara ristha kya hai nahi malum
bus bin tumary yeh dil nahi dharakta
----------
"TMHARA NAM LIKH LIKH KAR MITANA BHOOL JATA HOON"
"TMHAIN JAB YAD KRTA HON BULANA BHOL JATA HON"
"BOHOT SEE AISI BATAIN HAIN JO MARE DIL MAIN REHTI HAIN"
"MAGAR JAB TUM SE MILTA HOON SUNANA BHOL JATA HOON"
"TUMHARE BAD AB HER PAL BARI MUSHKIL SE GUZARTA HA"
" MAIN AKSAR TUM KO KHAWABON MAIN BTANA BHOL JATA HOON"
"MAIN HER SHAM KEHTA HON K TUM KO BHOOL JAOON GA"
"MAGAR JAB SUBHA HOTI HA TO BTANA BHOOL JATA HOON"
----------
YE ZID HA HMARI K TMHAIN CHEEN LAIN SAB SE
HUM OR ZMANY SAY TQAZA NHE KRTAY
HUM GOSHA-E-TANHAI ME RO LATY HAIN AKSAR
HUM SHER KI GILYON MA TMASHA NHE KRTAY
----------
neend ko ankhon k kareeb honay nahi deti
acchi hai teri yaad k sonay nahi deti
----------
Yaadon Ke Qeemat Wo Kia Jane,
Jo Khud He Yaadon Ko Mita Dia Karte Hain,
Yaadon Ka Matlab To Un Sa Poocho,
Jo Yaadon K Sahare Jiya Karte Hain.
----------
Ajeeb karb ka aalm hei
meri dil ki basti per Ghata bhi chai hei
aiur barsat bhi nahi hoti
Silay hain hont koi baat bhi nahi hoti
Ajeeb rang badalta asar ka suraj
K shaam hei khafa aur raat bhi nahi hoti
Me teri zaat ka hisa bhi ban nahi sakta
Juda tum se meri zaat bhi nahi hoti
----------
Sham Suraj Ko Jalna Sikha Date Ha,
Shama Parwane Ko Jalna Sikaha Date Ha,
Girnay Walay Ko Takleef To Hote Ha Magr,
Thoker Insan Ko Chalna Sikha Date Ha.
----------
Chupke Se Chand Ki Roshne Chu Jai Ap Ko,
Dil Se Chate Ho Jisay Use Mang Lo Khuda Se,
Hum Dua Karainge Wo Mil Jaye Apko
----------
Zindagi se yehi gila hai mujhe
Tu bohat dair se mila hai mujhe
Hamsafar chahiye hajoom nahin
Ik musafir hi kafla hai mujhe
----------
WAFA ROSWA NAHIN KARNA,
SONOO AISA NAHIN KARNA
MAIN PAHLE HE AKELA HOON
MUJEYE TANHA NAHIN KARNA
----------
Kahtay Hoo Kay Bichray Koi Mudat Nahi Guzri
Lagta Hai Kabhi Tum Nay Calender Nahi Dekha
----------
Ankhon Se Barsat Hoti Hai
Jub App Ki Yad Sath Hoti Hai
Jub Bhi Me SMS Na Karoon Samaj Lena
App Ki Salamti K Lie Meri KHUDA Say Baat Hoti He
----------
Alfaz ki shakal main ahsaas likha jata he.
Yani pani ko bhi payas likha jata he.
Mere jazbat se waqif he maira qalm.
Main pyar likhon to taira nam likha jata he.
----------
Na bhooli hon na bhoolon gi teri refaqat ko
Tujhe jub yaad karti hon to khud ko bhool jati hon
----------
Kash tu chand mein ik tara hota
Falak pe raj humara hota
Log dekha kartey tujhe hasrat bhari nigahon se
Aor tujhe choney ka haq sirf humara hota
----------
ham ne Mana ke tughafil na karo gey tu,
Khak ho jayen ge ham tuh ko khabar honey tak.
----------
Andheri Raat Main Rahtay To Kitna Acha Tha,
Ham Apni Zaat Main Rahtay To Kitna Acha THA,
Dokhoon Nay Baant Liya Hai Tumharay Baad,
Tumharay Haath Main Rahtay To Kitna Acha Tha,
----------
Na chahat kay jazbat alag,
Na khushion kay lamhat alag,
Na phool say thi mehkar alag,
Na guzri koi bahar alag,
Na honton ki muskan alag,
Na deen alag emaan alag,
Na sur sangeet Naghmat alag,
Thi sari baat lakeeroon ki ,
Teray hath alag meray hath alag.....
----------
Kaho ab Kia Kahon TUm Say!
Batao ab kia likhon tum ko!
Mujhay Tamheed do koi
Mujhay Umeed do koi
Naya ek lafz ho koi
jahan say baat chal niklay
meri mushkil ka hal niklay
Batao lehja kaisa ho
kay tum say baat karni hai
kaho ab kya irada hai
mujhay izhar karna hai
kay tum ko yeh batana hai
tum aksar yaad atay ho !!!
----------




No comments:

Post a Comment