Thursday, 5 September 2013

Love Shayeri Part 11

Bikhar Rahay Hen Meri Zindagi k Tamaam Warq
Na-Janay Kab koi Aandhi Ura k Le Jaye
Mein Dosron k Dukh Kab Tak Sambhal k Rakhon
Jis Jis k Hen Wo Nishani Bata k Le Jaye
----------
Tum Takaluff Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho Faraaz
Dost Hota Nahin her Haath Milane Wala

----------
Tu Badalta Hai to Be Saakhta Meri Aankhain
Mere Haathon ki Lakeeron se Ulajh jaati Hain
----------
Kuch likh nahin pate kuch keh nahin pate
Hal-e-dil hum zuban pe la nahin pate
wo utar gay hain dil ki gehraion men
wo samajh nahin sakte hum samjha nahin pate
----------
Tujh Say Lafzoo Ka Nahi Rooh Ka Rishta Hei Mera
Tu To Tehlil Hei Mujh Mei Meri Khushbu Ki Tarhaa
----------
Dua yai ke he nahe to maira muqader ho
hawa ke tara mager sanse bher muyasser ho
ise tara rahain gardash mai mairay sham-o-sehr
to he madaam meri zindgi ka mehver ho
----------
Dastras say apni bahir ho gaea
jab say hum un ko muyasser ho gaea
bay watan kehlaye apnay dais main
apnay gher mai reh ker bay gher ho gaea
----------
Hum musafir hain muhabat ke kathan rahoon k
thuk be jatay hain to kertay hain basaray dil main
----------
Mere Haathon Ki Lakeeron Main yeh Aieb Chupa Hai FARAZ
main Jis ko bhi Choo loon Woh mera Nahin Rehta
----------
Inhi pathron pe chal k aa sako to aao
Mere ghar k raastay mein koi kehkshan nahin hai
----------
Tu katib-e-Taqdeer se israr to karta
Shayad wo tere haath pe likhta mera naam.
----------
ARZOO KI SHIDDT KO KASH TUM SAMAJH SKTAY
MERY DIL KI CHAHAT KO KASH TUM SAMAJH SKTAY
KIS TRHA JALATI HY YAAD HR PAL JUDAI KI
HIJAR KI QAYAMAT KO KASH TUM SAMAJH SAKTY
----------
UNKI AIK YAAD BECHIN KAR JATI HAI
HAR CHEZ MAI UNKI SURAT NAZAR ATI HAI
AISA HAL KIA UNHONE PYAR MAI HAMARA K
NINED AATI HAI TO ANKHEN BURA MAAN JATI HAIN
----------
Pocha Jo Kisi Nay
Kon Hon Tum
Jawaban Arz Kia
Ek Ajnabi Hun Main
Kuch Kuch Jaana Per Anjana Hun Main
Apnoon Nay Kia Praaya Jisy
Prayoon Nay Apnaya Jisy
Woh Ajnabi Hun Main
Ek Ajnabi Hun Main
----------
Totay Paton Main Aaj Bhi Tlaash Hai Saay Ki
Roothy Doston Ke Aaj Bhi Aas Hai Ek Sath Ki
----------
khahishon k samandar k sub moti tera muqadar hoon
phool chehray phool lehjay tere hamsafar hoon
teri smaton ki dastras mein kbhi wo lafz na aye k tere dil ko malal ho
teri basarton mein hr wo manzar utray jo roshan ho sahb-e-jamal ho
----------
WADA KARTEY HAI QASMEY KHATEY HAI
PHIR BHI JANE KIO LOG SATH CHOR JATEY HAI
HUMEY TO TAKLEEF HOTI HAI PHOOL TORNEY MAI BHI
NA JANE LOG DIL KASEY TOR JATEY HAI
----------
Faqat Is Liye Main Ne Usay Chor Diya Fahad
Kaun Kay Usay Is Baat Ki Umeed Bohat Thee
----------
Ub be na ho qabool to qismat ke baat hai
Aameen keh rahay hain woh meri dua k sath
----------
mujh se kehti hai tere saath rahun gi sada
bahot piyar karti hai mujhse UDAASI meri
----------
hum to marhi chuke tere piyar mai
bus zaher or pila dena
maiyat mai agar mairi kafan na ho
dopatta apna urha dena
koi poche ise marz kia tha
jhoka k sar mohabbat bata dena
----------
Ainon ki ada na apnao
aine to khafa bhi hote hain
dard ki inteha na samjhao
dard to be intha bhi hote hain
khud ko na shamil kar logon main
log to bewafa bhi hote hain
----------
Ae Baad-E-Saba
Us Nager me ja
Usay itna bata
Ek dost tera
Kahta hai sada
Mujy apna bana
Chaht ko jaga
Ae jaan-E-Gazal
Teri Baat Ajal
Tery Hont Kanwl
Teri Ankh Ghazal
AeJaan-E-Wafa
Khud To hi Bata
Kab Teray Siwa
Mujy Chain Mila
----------
Us shakhs se faqat itna taluq hai Faraz
Wo pareshan ho to hamain neend nahi aati
----------
Wo roz dekhta hai dobty hoye suraj ko Wasi
Kash main bhi kisi sham ka manzar hota
----------
Mere Dil Main Tha K
Omer Main Ik Bar Chahoon Ose Is Tarah K
Woh Zindagi Bhar Na Kar Sakay
Kisi Doosre Shaksh Ki Aarzoo
----------
Kheerat me milli kushi mujhe achi nahin lagtai F@R@Z
Me apne dukhoon me kush hoon nawaboo ki tarhha
----------
uss ko bhi ham se waisi he muhabbat ho zarori to nahi
aik si dono ki halat ho zarori to nahi
dil ki chahat ko khawab jaga dety hain
haa magar sath mai kismat bhi ho zarori to nahi
meri tanhaiya karti hain jinhay yad
sada oon ko bhi meri zarorat ho zarori to nahi
----------
Mujh ko azmane ka natija kiya nikla
zakhm-e-dil nazro se bhi gehra nikla
tor k daikh he liya aap ne mery dil ka aaina
batao aap ki saurat k siwa our kiya nikla
----------
mery ajnabi mery
aashna tuje har harf main dua likon
ban sakon kabi tera to hayyat ko main fana likoon
agar na ho dar maje kuffar ka to
phir tuje apna kuda likhoon
----------
Agar Muj sy Ulfat nhi to Rokty Q ho
Tanhaii Me Mary Baray Me Sochte Q ho
Agar Manzilain Juda Hy To Jany Do Mujy
Laut Kr Kb Aaogy Pochte Q Ho
----------
Ik ajab Rishta hai meray or un k Dermiyan
wo hamaray sab kuch hain hum un k kuch bhi nahi
----------
woh b ro dega usay haal sunaien kaise
moom ka ghar hai charagon ko jalayen kese
door hota tu usay dhond b lete lekin
roh mai chup k jo betha hai ysay payen kese
----------
Mahek unki aaj bhi mari sason me hai
Har 1 ada unki meri in aankhon me hai
Woh bhale mita de dil se mera wajud
Mager unki jagah aaj bhi meri in yaadon mein hai
----------
Kisi ki kya majal thi jo koi hum ko kharid sakta faraz
Hum to khud hi bik gaey kharidar dekh k
----------
Parindon ko manzilein milengi yakinan
Ye Phaile huye unke pankh bolte hain
Vo log rahte hain khamosh aksar
Zamane mein jinke hunar bolte hain.
----------
kia pouchta hai merry ibtda kia hai
mein to is fiker mein rahta hon
mery intha kia hai
khod ko kar itna blond ka her tader se pehlay
khuda bandy sa pouche bata tery raza kiy hai
----------
Chandni raat mai or bhe aaiy ge us ke yad
behtar hai faraz so jana sham say pehlay
----------
KAR HAUSLE APNE BULAND ITNE
K KOI HAWA KA JHONKA USE HILA NA PAYE
AAYE KHUSHIYON KI BAHAR TERE ANGAN MAIN
PAR DUKH TUJHE KABHI CHOO NA PAYE
----------
BECHA KAR APNI ANKHEN USKE YAAD MAIN YE SADA KARTY THAY
HAR DUKH TERAY PYAR KA HANS KAR SAHA KARTAY THAY
BECHAR JAYEGE WO KABHI AYSE SOCHA NA THA
JO AIK PAL BHE MERE BINA NA RAHA KARTY THAY
APNI KISMAT PAR BOHAT NAZ THA KABHI HUMEIN
MERI HAR BAAT KO WO TEH-E-DIL SAY SUNA KARTY THAY
----------
wo mujh say poch raha tha batao kaisa laga
tm aglay zakhm choro ye ghao kaisa laga
ajab sawal kiya andhiyon nay pat'ton say
shajar say tot k girna kesa laga
is ko choro zara apnay dil say ye pocho
kaha jo us nay mujhay bhool jao kesa laga
----------
Woh BeWafa Hargiz na tha Unhi Badnaam Ho giya Faraz
Hazaaron Chaahne Wale They Kis Kis se Wafa Kerta
----------
Bohat hi sarfarosh hua karte hain
Haqeeqaton ki aaghosh hua karte hain
Meri chup se naraz na hua kar
Gehray samunder hamesha khamosh hua karte hain
----------
Suno ji,

1 Rupia 1 lakh nahin hota, magar phir b 1 rupia Lakh se nikal jaye to wo lakh nahin rehta.

Hum b aap k lakhon doston me bus wo 1 rupia hai.
----------
Reh na pao ge bhula k dekh lo

Yaqeen nahin aata to azma k dekh lo

Har jaga mehsoos ho gi kami hamari

Apni mehfil ko kitna b sja k dekh lo
----------
Us ki qurbaton mein qarar bohat hai
Jis ka milna dushwar bohat hai
Wo jo mere hathon ki lakeron mein nahin
Us se mujhe pyar bohat hai
----------
RAZ E DIL NA SUNANA KISI KO
DUNYA ME SB HAMRAZ BADAL JATAY HAIN
KISI K BICHARNE SE KOI MAR TO NAHI JATA
HAN MAGAR JEENE K ANDAZ BADAL JATAY HAIN
----------
Dill k dard ko koi Shairi kehy tu koi baat nehi
Takleef tu tab hoti hy jab koi vah vah karta hy
----------
jo aansu na hote aankho me
to aankhein itni khubsurat na hoti
jo dard na hota dil me
to khushi ki koi qeemat nahi hoti
jo bewafai na ki hoti waqt ne
to wafa ki kabhi chahat na hoti
agar sochne se hojati mohobbat ki muradein
to DUA ki kabhi Zarurat na hoti
----------
kaha mumkin tha me dil se teri yaadein mita deta
bhala kese me jeeta phir agar tujhe bhula deta
teri ruswaiyo k darr se labo ko c liya warna
tere shehr-e-munafiq ki buniyaadein hila deta
kia tarq-e-wafa usne to hogi uski majburi koi
jisay barso dua di usay kya bad dua deta
----------
Kahin Tnha Na Krde Tujhe Munfarid Rehne Ka Shoq UMAIR
Jb Din Dhale To Kisi Se Haal-e-Dil Keh Dya Kr
----------
Wo shakhs mujhe toot k rone nahin deta
Khawabon me agr aye to sone nahin deta
Khud us k marasim to zamanay se hain lekin
Mujhe wo kisi or ka hone nahin deta
----------
Tamam umr ki na moatbar rafaqat se
Kahin acha ho pal bhar milein yaqeen se milein
----------
Janey mujhe us ne kis baat pe chora hai Noor
Main to mukhlis tha maan ki duaon ki tarah
----------
hall-e-dil kis ko sunaein ke tere sheher k log
kissa-e-ghum ko bhi dholuck ki sda dete hain
----------
bewafa tujh ko pukarenge zamane wale
na chura ankh mere dil ko churane wale
----------
hum dushmano ko bhi pakeeza saza dete hen
hath uthate nahen nazron se gira dete hen
----------
Mera seedha saadha mizaaj tha
Mujhe kya khabar ishq k honay ki
Teray ik Tabasum-e-naz ne
Meray sare zoq badal dalay
----------
Is qadar sakhi k bantata tha mohabbatein
Na janay ye dil khud hi faqeer kab huwa
----------
kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath hai
o dene waale toone to koi kamee na kee
ab kiss ko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
----------




No comments:

Post a Comment