Thursday, 5 September 2013

Love Shayeri Part 7

Jo Meri Khuwahish mai uth ker,
Raaton ko khoob Roti,
Dukhon ki Chaadar lapet ker,
Hajum-e-Dunya se Door reh,
Koi To Hota...!!
----------
Mai Rooth jata, Manati to mujh ko,
K chaye Mera Qasoor hota ya na hota,
Koi To Hota...!!

----------
Mai jis k itne Qareeb hota,
Na paas koi Raqeeb hoti,
Mai Tanha us ka Habib hota,
Ye Silsila b Ajeeb hota
Koi To Hota...!!
----------
Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hai !!
Naadaan hai guzre zamaane dhoondte hai !!
----------
Jab woh the..! Talaash-e-zindagi bhi thi !!
Ab to maut ke thikaane dhoondte hai !!
----------
Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha !!
Aaj hue se deewaane dhoondte hai !!
----------
Musafir be-khabar hai teri aankhon se !!
Tere shahar mein maikhaane dhoondte hai !!
----------
Tujhe kya pata ae sitam dhaane wale !!
Hum to rone ke bahaane dhoondte hai !!
----------
!! Unki aankhon ko youn na dekho !!
!! Naye teer hai nishaane dhoondte hai !!
----------
mujhe aur kahin le chal saanwal
jahan raat kabhi bhi soyi na ho
jahan subah kisi pe royi na ho
jahan hijer ne wehshat boyi na ho
jahan koi ksi ki khoyi na ho
----------
jahan shehar hon saare weerane
jahan log sabhi hon begaane
jahan sab ke sab hon deewane
jahan koi humain na pehchane
mujhe aur kahin le chal saanwal !
----------
jahan nafrat dil main bas na sake
jahan koi kisi ko dass na sake
jahan koi kisi pe hans na sake
jahan koi bhi gunjal kass na sake
mujhe aur kahin le chal saanwal!
----------
jahan dard kisi ko raas na ho
jahan koi malool udaas na ho
jahan zulmat ki boo baas na ho,
jahan tu bhi ziada paas na ho
mujhe aur kahin le chal saanwal !
----------
Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun,
Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko ,
----------
Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi,
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula Dey Mujh Ko,
----------
Neendain meri ankhon sy chorata hay wohi shaks,
So jaon tu khabon main bhi ata hay wohi shaks,
----------
Faryaad karrahi hai koi tarsi hui nigah
Dekhe hue kisi ko bohat din guzar gae
----------
Hua tujhse bichar kar ab maloom...
Ke tu nahi tere sath ek dunia thi!!
----------
rutha huwa aik dost
aj rutha huwa aik dost buhat yad aya
acha guzra huwa khuch waqt buhat yad aya

mari ankhun k har aik ashk per runay wala
aj jab ankh yah rui tu buhat yad aya

ju mary dard ko senay main chupa lyta tha
aj jab dard hu mujh ko tu buhat yad aya

ju mari ankh mian rahta tha kajal ki tarhan
aj kajal ju lagaya tu buhat yad aya

ju mary dil k tha qareeb faqat usko hi
aj jab dil nay bhulaya tu buhat yad aya
----------
itni shidat se us shaks ne manga mujhe muneer

dushmani ke bawjood inkaar ki surat na thi
----------
Mohabbat k dam se yeh duniya haseen hay,
Mohabbat naheen hay to kuch bhi naheen hay,
----------
Mohabbat andhere main nuur_e_saher hay,
Mohabbat se duniya bahar_e_ nazar hay,
----------
Nazara nazara freshty bareen hay,
Mohabbat naheen hay to kuch bhi naheen hay,
----------
Woh shoolah hi kiya jo bahrakna na jane,
Woh dil dil naheen jo tarapna na jane,
----------
Mohabbat se hi zindagi ka yaqeen hay,
Mohabbat naheen hay to kuch bhi naheen hay,
----------
Log youn hi kha letay hain saath nibhany ki kasmein Faraz..
Hum ne tu sanson ko bhi juda hote hue dekha ha..
----------
milti nahie pyar ki manzil unhy kabi,
wo log samander main jo utra nahie karty.
----------
Mahki mahki fizaaa bahke bahke qadam,
Sath un k chaleen ho k madhoosh hum,
Na hay dil ka pata na hay apni khabar,
----------
Woh zameen aasman mil rahe hain jahan
De raha hay sada pyaar hum ko wahaaaan
----------
Ghum hay kisi ko mera na tera malal hay
Har kisi ko apni fikar hay apna khayal hay
Is pataron ki duniya main jina muhaal hay
----------
Taqdeer k hathon main khilona hay admi,
Duniya hay tamashayi tamasha hay aadmi,
----------
Aaj Phir Yaad Bohut Aaye Woh,
Aaj Phir Ussko DUAA Di Humne,
Koi Toh Baat Hai Unmein......
Har Khushi Jispe Lutaa Di Humne,
----------
Aaj Tak Jispe Woh Muskuraate Rahe,
Ab Ke Yu Dil Ko Sazaa Di Humne,
Baat Woh Kab Ki Bhulaa Di Humne,
----------
Kitne haseen the wo lamhe jab hum sath hote the,
Aaj bhi mai wo lamhe bas yaad karta hoon,
Mujh par mera ab koi ikhtiyar nahi hai,
Mai itna diwangi mein dil ko beqarar karta hoon,
----------
Jab sath the wo mere kitni khushiyan thi mere sath,
Aaj nahi hai koi khushi par mai,
us ki khushi ke liye har khushi ka intezam karta hoon,
----------
Mujhe pata hai ki wo na aaege kabhi,
Par mai aaj bhi us ka intezar karta hoon,
Wo bichard to gaye hai mujh se lekin,
Aaj bhi wo mera hai iqraar karti hoge,
----------
Ho chuka ab kisi ka wo

kabhi meri ZINDAGI tha wo


kon bhulta hai peheli MOHMABBAT


Meri Sari Khushi tha Woh


Pholon ki tarah Muskurata tha


Mere honton ki hansi tha WOH


baad barson dekha tha usey


Aj b utna hi hAseen tha WOH


ZINDAGI jis k Naam Kardi Mere dost


Afsos log kehtay hain ajnabi tha Woh
----------
IK YEH BHI TO ANDAZ-E-ILAJ-E-GHAM-E-JAAN HAI
AY CHARAGRO DARD BARHA KIUN NAHI DAITY
RAHZEN HO HAZIR HY MATA-E-DIL O JAAN BHI
RAHBER HO TO MANZAL KA PATA KIUN DAITY
MUNSAF HO AGAR TUM TO KAB INSAF KARO GY
MUJRIM HAIN AGAR HUM TO SAZA KIUN NAHI DAITY
----------
Qurb k na wafa k hoty hain sary jhaghry ana k hoty hain
wo hmary hain is trah sy FAIZ jaisy bandy khuda k hoty hain
Baat niyaat ki sirf hai warna waqt sary dua k hoty hain
----------
hamesha hum sai na rakh farishtigi ki umeed
bashar to hum bhi hen khata to hum sai bhi hogi
umer bhar dag dai jati hai ik adna si bhool bhi
jurm sabit na ho ilzam phir ilzam hai
----------
Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon
Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoo
Hasrat ye hain ke ek nazar dekh loon tujh ko
Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karoo
----------
Zindagi ki raah mein aage chalte jana har pal
Mur ke na dekh beete hue pal
Jo nahin tha tera tujhe nahin mila
Jo milgaya uske sath guzaar apna har pal
----------
Youn to mutamin hain sb he apni jagah
Haan mgr ik naam peh bekali apni jagah
Laakh yeh chaha keh usey bhool jaon Aqeel
Pr hosley apni jagah bebasi apni jagah
----------
Jb kbi maen dil ko samjao keh tu mera nhi hai
Mujh maen koi cheekh uthta hai keh nahi aisa nhi hai
Kab niklta hai koi dil maen utar jane k baad
Es gali ki doosri janb koi rasta nhi hai
----------
USAY JAB YAAD AYEGA WO PEHLI BAAR KA MILNA
TU PAL PAL YAAD RAKHE GA YA SAB KUCH BHOOL JAYE GA
----------
USAY JAB YAAD AYEGA WO MAUSAM KA HAR LAMHA
TU KHUD HI RO PAREGA YA KHUD HI MUSKURAYE GA
----------
USAY JAB YAAD AYE GA SAWAN LOUT AYA HAI
BULA BHEJE GA WO MUJH KO YAH KHUD HI LOUT AYE GA
----------
USAY JAB YAAD AYEGA MAI KAISEY MUSKURATA THA
TU ANKHEN MUSKURAIYEN GE YA DAMAN BHEG JAYE GA
----------
USAY JAB YAAD AYEGA MAI KESE NAAM LETA THA
TU MERA NAAM LIKHE GA YA APNA B MITAE GA
----------
Hoton pe hasee dekh li dil mai nahi dekha
Yaaron ne mere gham ka samander nahi dekha
----------
Khud ko chuntay huway din saara guzar jaata hai Faraz
Phir hawa shaam ki chalti hai tu bikhar jaate hein

Ab osay roz na sochoon to badan toot-ta hai FARAZ
ik umer ho gayi us ki yaad ka nasha kartay kartay
----------
Ek wafa ko paney ki koshish mai
mainey zakhmi kardi hain wafaaein kitni..
----------
kitna masoom sa lagta hai ek Lafz "MOHABBAT"
Aur iss lafz se munsalik hain sazaain Kitni.
----------
Es dil mai sirf tanhai thi
rat k andhere mai bhi uski purchai thi
hum to mangte rahe unhain har dua mai
shayad hamare hathon ki lakiron mai hi judai thi
----------
YEH LAZMI NAHI K HUM KO HAR DIN YAAD KARO FRAAZ,

MAGAR BHOOL JAO ISS KI BHI IJAZAT NAHI TUMHAIN.
----------
KABHI SOOCHA HI NAHI APNI ZAAT K MUTALLIQ FRAAZ,

KAASH SOCH LAITY TO AAJ HUM TANHA NA HOTY.
----------
MAIN US SY BICHER CHALA USSY HAIRAT HI NA HOI MOHSIN,

SHAYAD THA WO BHI ISSI GHARRI KA MUNTAZAR.
----------
USSAY TERI IBADTOON PAR YAKEEN HI NAHI HAI SAQI,

JIS KI KHUSHIYAN TU RAB SY RO RO KAR MANGTA HAI.
----------
MAIN KHUDA KI NAZROO MAIN KAISY NA GUNAHGAAR BANOO FRAAZ,

K ABSAJDOON MAIN BHI MUJHY WO YAAD AANY LAGA HAI.
----------
manzil ki justujoo me kyon phir raha hai rahi
itna azeem hoja k manzil tujhe pukare
----------



No comments:

Post a Comment